Email open hua ya nahi — kaise pata kare?
· 5 min read
Gmail mein WhatsApp jaisa blue tick nahi hota. Aapne client, HR ya customer ko email bheja — par pata hi nahi chalta ki unhone padha ya nahi. Email tracking se ye pata chal sakta hai. Is guide mein samjhiye ye kaise kaam karta hai aur kitna bharosa kar sakte ho.
Email tracking kaise kaam karta hai
Open tracking: email mein ek bahut chhoti, invisible image hoti hai. Jab saamne wala email kholta hai aur image load hoti hai, tool ko signal milta hai ki email khula.
Click tracking: email ke links ek tracking link se hokar jaate hain. Jab koi click karta hai, tool record kar leta hai aur phir use asli page pe bhej deta hai.
Kitna sahi hota hai?
- Click tracking sabse bharosemand hai — click matlab insaan ne sach mein interest dikhaya.
- Open kabhi-kabhi kam dikhta hai — kuch log images band rakhte hain.
- Kabhi open zyada dikhta hai — kuch email apps aur security scanners email pehle hi khol lete hain.
- Isliye ek open pe zyada bharosa mat karo; click aur reply asli signal hain.
Tracking ka sahi use
- Jisne link pe click kiya, use pehle call ya WhatsApp karo.
- Jisne email khola par reply nahi kiya, use chhota follow-up bhejo.
- Jisne kholna hi nahi, uski subject line badal ke dobara try karo.
- Bounce hua email list se hata do — galat address Gmail ki reputation kharab karta hai.
Free mein kaise kare
MailPilot mein apna Gmail connect karke campaign bhejo. Dashboard pe har contact ke liye open, click aur bounce dikhta hai — alag se koi add-on nahi chahiye. Email aapke apne Gmail address se jaata hai aur reply aapke normal inbox mein aata hai.
Privacy ka dhyaan
- Sirf unhe email bhejo jinke liye aapka email relevant hai.
- Har marketing email mein unsubscribe ka option do — MailPilot khud jod deta hai.